Saturday 17 November 2012

By heart


My version of jab tak hai jaan that I couldn’t resist to write…




Teri todi kasme wado se,
Teri har din palti yadon se,
Juda rahunga, 
jab tak hai jaan jab tak hai jaan …


Tera har din badalta libas,
Teri khushbo, tera ehsaas,
Bhule na bhula sakunga,
 jab tak hai jaan jab tak hai jaan …


Teri di hui ye khamosh udasi,
Ye aawara bhatakti ruh ki becheni,
Laga k rakhunga dil se,
jab tak hai jaan jab tak hai jaan…

Tere ankahe kisse,Wo aatish barsati baatein,
 Saanso se teri thi kati jo raatein,
Likhta chala jaunga,
jab tak hai jaan jab tak hai jaan….

Teri aankho ki dilkash manmani,
Tere hontho  ki gulabi muskaan,
Mehfooz rahegi is dhadkan me, 
jab tak hai jaan

 jab tak hai jaan..

Kadmo se tere dil ka tham jana,
Wo chune se tere kuch yun pighal jana,
Kabhi pathar kabhi makhmal,
 tera mizaaz tera andaaz,
qayamat tak ibadat mein rakhunga salamat,
jab tak hai jaan,
jab tak hai jaan…

nafrat karunga is betuke armaan se,
                               dikhte har din ek khwab se,
                               laazmi har doorie har aitraaz  se,
                               tujhse milne ke us ittefaq se,
                           
        jab tak hai jaan
            jab tak hai jaan….




I just feel “lifeless” sometimes…
Moreover an emotional fool who is leading escapism from reality by a mild hope of reaching the impossible……. 



2 comments: